hai kis kā intizār khulā ghar kā dar bhī hai
aur jaltā ik charāġh sar-e-rah-guzar bhī hai
har lamha ghar ko lauT ke jaane kā bhī ḳhayāl
har lamha is ḳhayāl se dil ko hazar bhī hai
tanhā.iyāñ pukārtī rahtī haiñ aao aao
ai bekasī batā kahīñ in se mafar bhī hai
kis tarah kaaTī kaise guzārī tamām umr
vo mil gayā to aise savāloñ kā Dar bhī hai
kyūñkar na zindagī meñ rahe vahshatoñ se kaam
har lahza jab gumāñ ho koī baam par bhī hai