bhūlī huī rāhoñ kā safar kaisā lagegā
ab lauT ke jā.eñge to ghar kaisā lagegā
hañgāma-e-hastī se nimaT kar jo chaleñge
vo niiñd kā ḳhāmosh nagar kaisā lagegā
us ne to bulāyā hai magar soch rahā huuñ
mahfil meñ koī ḳhāk-basar kaisā lagegā
andhe haiñ jo duniyā kī chakā-chauñd se un ko
sūraj kā savā neze pe sar kaisā lagegā
jis roz ki ḳhvāboñ meñ koī shakl na hogī
be-chehragī-e-ḳhvāb se Dar kaisā lagegā