nazar kā nashsha badan kā ḳhumār TuuT gayā
ki ab vo ā.īna-e-e'tibār TuuT gayā
batā.eñ kyā tumheñ ab lamha-e-qarār kī baat
zarā sī der ko chamkā sharār TuuT gayā
koī ḳhayāl hai saa.e kī tarah saath mire
akele-pan kā bhī mere hisār TuuT gayā
shikast khaa.ī na maiñ ne fareb duniyā se
dil is nabard meñ go baar baar TuuT gayā
uTho ki aur koī rishta ustuvār kareñ
jise thā TūTnā 'tāriq' vo taar TuuT gayā