merā shāhid vo hameñ ayyār aatā hai nazar
ham ko ham paate nahīñ jab yaar aatā hai nazar
kasrat-e-shauq-e-mohabbat meñ mujhe har tarah se
jis taraf dekhūñ ruḳh-e-dil-dār aatā hai nazar
jaan kā dhokā hameñ hotā hai rāh-e-ishq meñ
marg kā har ek dam āsār aatā hai nazar
dāġh-e-hijrāñ ke sivā laayā na kū-e-yār se
jo koī is raah kā bīmār aatā hai nazar
pā-barahna siina biryāñ hai tan-e-uryāñ vahī
jo ki us kā āshiq-e-sarshār aatā hai nazar
raah se dair-o-haram kī hai jo kū-e-yār meñ
hai vahī dīñ-dār gar kuffār aatā hai nazar
ba.ad muddat gardish-e-tasbīh se 'miskīñ' hameñ
dāna-e-tasbīh meñ zunnār aatā hai nazar