sunte hī dil ho gayā us yaar kā asrār mast
hoshiyārī kyā kare jab dil ho sau sau baar mast
shohra-e-āfāq us mah se ye hai mastoñ kā haal
pheñkte haiñ sar se apne ḳhaak par dastār mast
sar-barahna be-sar-o-sāmāñ jo dil-afgār haiñ
bazm-e-mastāñ meñ vahī mash.hūr haiñ sardār mast
be-ḳhudī dīvāngī meñ is tarah sarshār haiñ
bhūlte haiñ aap ko ho kāfir o dīñ-dār mast
kab unheñ dair-o-haram yaad aa.e hai ai zāhido
kū-e-jānāñ meñ hazāroñ ho ga.e hoshyār mast
kaifiyat donoñ jahāñ kī hai vahāñ hāsil tamām
jab nazar aaveñ kisī jā par kahīñ do-chār mast
haal aa jaa.e abhī sab sākinān-e-charḳh ko
tū bhī ho jaave ai 'miskīñ' sun ke ye ash.ār mast