Miskeen Shah

kisi ka ek hai dushman to dost-dar hai ek

Miskeen Shah

kisī kā ek hai dushman to dost-dār hai ek
hamārā hijr adū ek vasl yaar hai ek
jahāñ meñ shādī o ġham se nahīñ hai duur koī
ḳhizāñ adū hai mirā ek aur bahār hai ek
ḳhushī nasīb nahīñ ham ko ta-ba-hashr koī
hazār rañj haiñ ek aur ye dil-figār hai ek
bisān-e-marg-o-hayāt ahl-e-dil ko aalam meñ
hamesha ek hai dil jis pe ġham savār hai ek
milā hai husn-e-ḳhudā-dād jin ko aalam meñ
fidā jo ek hai un par to jāñ-nisār hai ek
rah-e-vafā meñ ye hai haal āshiqoñ kā mudām
ḳharāb ek hai shorīda-sar to ḳhaar hai ek
miloge ham se jo 'miskīñ' duī ko duur karo
shumār ek hai gar dam hai do pe taar hai ek
Top Urdushayar.com