sham.a raushan jism-e-fānūs-e-ḳhayālī meñ hai aaj
ruuh juuñ misl-e-magas makḌoñ kī jaalī meñ hai aaj
ham nahīñ hargiz hubāb-e-bahar-e-imkāñ dahr meñ
sān.e-e-kaunain shakl-e-be-misālī meñ hai aaj
ka.aba-e-dil arsh hai har dam jahāñ rahtā huuñ maiñ
merī pahchānat ye jism-e-lā-yazālī meñ hai aaj
naam sun kar jo koī aayā hai vo paayā hameñ
ism-e-āzam kī sifat is ism-e-ālī meñ hai aaj
jannat-ul-firdaus meñ jā kar bhalā ham kyā kareñ
koī bhī us ḳhāna-e-vīrān-o-ḳhālī meñ hai aaj
hūr-o-ġhilmān-e-bahishtī yaañ mire ham-rāh haiñ
mulk-e-dil-ābād apne hasb-e-hālī meñ hai aaj
nek-o-bad yaksāñ hai vājib maiñ yahāñ imkān meñ
chāhiye rāhat to 'miskīñ' ḳhush-ḳhisālī meñ hai aaj