māh-rū yaañ hazār ko dekhā
ham ne ab tak na yaar ko dekhā
umr bhar muntazir rahe us ke
raah ke intizār ko dekhā
va.ada-e-hashr log kahte haiñ
ham ne vo bhī qarār ko dekhā
koī aayā nazar na us jā bhī
jab dil-e-ġham-gusār ko dekhā
rah ga.e nā-murād duniyā meñ
kitne sar iftiḳhār ko dekhā
bāġh-e-hastī meñ surḳh-rū na hue
gul ke har ḳhaar ḳhaar ko dekhā
ganj jis jā hai us jagah 'miskīñ'
baiThe rahte haiñ maar ko dekhā