aap ko zaḳhm-e-jigar dikhlā ke ham chup-chāp haiñ
aap kī āñkhoñ meñ aañsū aa ke ham chup-chāp haiñ
aaj duniyā kī nigāheñ āsmāñ par haiñ lagī
donoñ aalam par abhī tak chhā ke ham chup-chāp haiñ
aap ne to ik jahāñ meñ ham ko rusvā kar diyā
aap kī mahfil meñ lekin aa ke ham chup-chāp haiñ
log jalte hī rahe dil meñ liye buġhz-o-inād
shā.irāna azmateñ dikhlā ke ham chup-chāp haiñ
shikva-e-jaur-e-butāñ 'sajjād' ham na kar sake
har-qadam par kitne dhoke khā ke ham chup-chāp haiñ