jis kī āñkhoñ meñ koī rañg-e-shanāsā.ī na thā
us se milne kā mirā dil bhī tamannā.ī na thā
ham dayār-e-ġhair meñ kahte rahe haiñ dil kī baat
ek apne shahr hī meñ izn-e-goyā.ī na thā
jazba-e-dil ke bahak jaane se rusvā ho ga.e
kūcha-e-mahbūb varna kū-rusvā.ī na thā
zulmat-e-shab ko jahāñ nūr-e-sahar kahte the log
merā sach kahnā sazāvār-e-pazīrā.ī na thā
daad bhī detā na thā vo mere jazb-e-shauq kī
ḳhāmushī āñkhoñ meñ lab par harf-e-goyā.ī na thā
terī be-mehrī na thī kotāhī-e-qismat bhī thī
kār-zār-e-dil meñ varna shauq-e-paspā.ī na thā
merī apnī zaat hī ik anjuman se kam na thī
is liye 'sajjād' mujh ko ḳhauf-e-tanhā.ī na thā