Imran Aami

kuchh ehtimam na tha sham-e-gham manane ko

Imran Aami

1980
kuchh ehtimām na thā shām-e-ġham manāne ko
havā ko bhej diyā hai charāġh laane ko
hamāre ḳhvāb salāmat raheñ tumhāre saath
ye baat kaafī hai duniyā kī niiñd uḌāne ko
hamārā ḳhuun kisī kaam kā nahīñ bhaa.ī
ye paanī Thiik hai lekin diye jalāne ko
hamārī raakh yūñhī to nahīñ kuredte log
hamāre paas koī baat hai chhupāne ko
tire baġhair bhī ham jī rahe haiñ aur ḳhush haiñ
ye baat kam to nahīñ hai tujhe jalāne ko
hamāre ḳhuun se luThḌe hue haiñ haath us ke
hamāre saath mohabbat bhī hai zamāne ko
vo jin ke paas koī aks bhī nahīñ 'āmī'
taḌap rahe haiñ mujhe ā.īna dikhāne ko
Top Urdushayar.com