ham-sā.e meñ shaitān bhī rahtā hai ḳhudā bhī
jannat bhī mayassar hai jahannam kī havā bhī
ye shahr to lagtā hai kabāḌī kī dukāñ hai
khoTā bhī isī mol meñ biktā hai kharā bhī
is jism ko bhī chaaT ga.ī saañs kī dīmak
maiñ ne use dekhā thā kisī vaqt harā bhī
jaise kabhī pahle bhī maiñ guzrā huuñ yahāñ se
mānūs hai is rah se mirī laġhzish-e-pā bhī
is dasht ko pahchān rahī haiñ mirī āñkheñ
dekhā huā lagtā hai ye an-dekhā huā bhī
tum bhī to kisī baat pe raazī nahīñ hote
tabdīl nahīñ hotā muqaddar kā likhā bhī
ab faisla-kun moḌ pe aa pahuñchā mirā ishq
dariyā bhī hai maujūd yahāñ kachchā ghaḌā bhī
mumkin hai meñ is baar bhaTak jā.ūñ safar meñ
is baar mire saath havā bhī hai diyā bhī
ye shahr farishtoñ se bharā rahtā hai 'āmī'
is shahr pe ik ḳhaas ināyat hai sazā bhī