Imran Aami

baat dil ko mere lagi nahin hai

Imran Aami

1980
baat dil ko mire lagī nahīñ hai
mere bhaa.ī ye shā.erī nahīñ hai
jāntī hai mire charāġh kī lau
kaun se ghar meñ raushnī nahīñ hai
vo ta.alluq bhī mustaqil nahīñ thā
ye mohabbat bhī dā.imī nahīñ hai
maiñ jo qissa sunā chukā to khulā
koī dīvār boltī nahīñ hai
dekhne vaalī aañkh bhī to ho
kaun dariyā meñ jal-parī nahīñ hai
buzdilā chhup ke vaar kartā hai
tujh ko tahzīb-e-dushmanī nahīñ hai
kyā karūñ is bahisht ko jis meñ
ek botal sharāb kī nahīñ hai
tujh se milnā bhī hai nahīñ bhī mujhe
aur tabī.at ulajh rahī nahīñ hai
kaun se shahr ke charāġh ho tum
tum meñ dam bhar kī raushnī nahīñ hai
jis kā charchā hai shahr meñ 'āmī'
vo ġhazal to abhī kahī nahīñ hai
Top Urdushayar.com