is dasht se aage bhī koī dasht-e-gumāñ hai
lekin ye yaqīñ kaun dilā.egā kahāñ hai
ye ruuh kisī aur ilāqe kī makīñ hai
ye jism kisī aur jazīre kā makāñ hai
kartā hai vahī kaam jo karnā nahīñ hotā
jo baat maiñ kahtā huuñ ye dil suntā kahāñ hai
kashtī ke musāfir pe yūñhī taarī nahīñ ḳhauf
Thahrā huā paanī kisī ḳhatre kā nishāñ hai
jo kuchh bhī yahāñ hai tire hone se hai varna
manzar meñ jo khiltā hai vo manzar meñ kahāñ hai
is raakh se uThtī huī ḳhushbū ne batāyā
marte hue logoñ kī kahāñ jā-e-amāñ hai
ye kār-e-suḳhan kār-e-abas to nahīñ 'āmī'
ye qāfiya-paimā.ī nahīñ husn-e-bayāñ hai