Imran Aami

koi majnun koi farhad bana phirta hai

Imran Aami

1980
koī majnūñ koī farhād banā phirtā hai
ishq meñ har koī ustād banā phirtā hai
jis se ta.abīr kī ik iiñT uThā.ī na ga.ī
ḳhvāb ke shahr kī buniyād banā phirtā hai
pahle kuchh log parindoñ ke shikārī the yahāñ
ab to har aadmī sayyād banā phirtā hai
dhuup meñ itnī suhulat bhī ġhanīmat hai mujhe
ek saaya mirā ham-zād banā phirtā hai
baaġh meñ aisī havāoñ kā chalan aam huā
phuul sā haath bhī faulād banā phirtā hai
naqsh-bar-āb to ham dekhte aa.e lekin
naqsh ye kaun sā barbād banā phirtā hai
Top Urdushayar.com