jitne paanī meñ koī Duub ke mar saktā hai
utnā paanī to mirī ok meñ bhar saktā hai
ye to maiñ roz kināre pe khaḌā sochtā huuñ
pyaas baḌh saktī hai dariyā bhī utar saktā hai
ik diyā aur to kuchh kar nahīñ saktā lekin
shab kī dīvār meñ darvāza to kar saktā hai
husn-e-tartīb se rakkhī huī yādoñ kī taraf
dekhne vaalā kisī roz bikhar saktā hai
is kā titlī sā badan duur se dekhā jaa.e
vo kisī haath meñ aate hue mar saktā hai
tum zarā soch ke us shaḳhs pe takiya karnā
vo farishta nahīñ va.ade se makr saktā hai
dil ko āñkhoñ se ulajhne nahīñ detā 'āmī'
varna dariyā se samundar bhī guzar saktā hai