Imran Aami

main sach kahun pas-e-diwar jhuT bolte hain

Imran Aami

1980
maiñ sach kahūñ pas-e-dīvār jhuuT bolte haiñ
mire ḳhilāf mire yaar jhuuT bolte haiñ
milī hai jab se unheñ bolne kī āzādī
tamām shahr ke aḳhbār jhuuT bolte haiñ
maiñ mar chukā huuñ mujhe kyuuñ yaqīñ nahīñ aatā
to kyā ye mere azā-dār jhuuT bolte haiñ
ye shahr-e-ishq bahut jald ujaḌne vaalā hai
dukān-dār o ḳharīdār jhuuT bolte haiñ
batā rahī hai ye taqrīb-e-mimbar-o-mehrāb
ki muttaqī o riyā-kār jhuuT bolte haiñ
qadam qadam pe na.ī dāstāñ sunāte log
qadam qadam pe ka.ī baar jhuuT bolte haiñ
maiñ sochtā huuñ ki dam leñ to maiñ unheñ Tokūñ
magar ye log lagātār jhuuT bolte haiñ
hamāre shahr meñ 'āmī' munāfiqat hai bahut
makīn kyā dar-o-dīvār jhuuT bolte haiñ
Top Urdushayar.com