Imran Aami

koi mera imam tha hi nahin

Imran Aami

1980
koī merā imaam thā hī nahīñ
maiñ kisī kā ġhulām thā hī nahīñ
tum kahāñ se ye but uThā laa.e
is kahānī meñ raam thā hī nahīñ
jis qadar shor-e-āb-o-gil thā yahāñ
us qadar ehtimām thā hī nahīñ
is liye saadh lī thī chup maiñ ne
is se behtar kalām thā hī nahīñ
ham ne us vaqt bhī mohabbat kī
jab mohabbat kā naam thā hī nahīñ
tū kahāñ rāste meñ aa ga.ī hai
zindagī tujh se kaam thā hī nahīñ
vaqt ne lā khaḌā kiyā us jā
jo hamārā maqām thā hī nahīñ
is liye ḳhaas kar diyā gayā ishq
aam logoñ kā kaam thā hī nahīñ
Top Urdushayar.com