Khawar Ludhianvi

ye barf-posh manazir bhi shoala-KHu nikle

Khawar Ludhianvi

ye barf-posh manāzir bhī sho.ala-ḳhū nikle
ye kab huā ki dharo paañv to lahū nikle
vo jab bhī aate haiñ sūraj ke rath pe aate haiñ
ye is liye ki kisī kī na aarzū nikle
hujūm itnā ho jis kā na ho shumār ki jab
mirī kitāb kā parcham banā ke tū nikle
jhapakte dekhīñ kisī ne na muntazir āñkheñ
ye chaak vo haiñ jo begāna-e-rafū nikle
naqāb tābish-e-jalva se aab aab huā
ki jaise dhuup meñ koī kinār-e-jū nikle
hujūm-e-bāda-kashāñ meñ bhī ham ne dekhā hai
bahut se log hamesha hī bā-vazū nikle
halāk hotā hai kab koī dūsroñ ke liye
kiyā jo ġhaur to ham apne hī adū nikle
ye mere jazb-e-nihāñ kā hai mo.ajaza shāyad
ki dil meñ jhāñk ke dekhūñ to tū hī tū nikle
ye hai bahār ki charba bahār kā 'ḳhāvar'
ki dhund oḌh ke ushshāq-o-ḳhūb-rū nikle
Top Urdushayar.com