nahīñ is dasht meñ koī ḳhizar hai
ki bas maiñ huuñ mirī gard-e-safar hai
haqīqat āḳhirī ye muḳhtasar hai
kahīñ sunsān sā tārīk ghar hai
na sañg-e-rāh hai na rāhbar hai
bhaTaktā dil hai aur dhundlī nazar hai
jo manzil hī se ho ġhāfil musāfir
bhalā kyā lutf jo raushan nazar hai
na aalam ham se ḳhush na ḳhud se ham ḳhush
ye biinā aañkh bhī kyā dard-e-sar hai
ye ziine jaldī jaldī chaḌhne vaale
pas-e-az-bām kyā hai kuchh ḳhabar hai