kyuuñ aur zaḳhm siine pe khaao ho dosto
kaahe kisī se aas lagāo ho dosto
ik aabrū bachī hai so rakhiyo sambhāl ke
kis paas kyā ġharaz liye jaao ho dosto
pahuñche vahīñ haiñ aaj jahāñ se chale the ham
ab raah kaun aur dikhāo ho dosto
is tab.a se to ḳhud hī pareshān hai ye dil
Thes us ko aur kaahe lagāo ho dosto
jaur-o-jafā-e-yār ke ye uzr vaah ḳhuub
ye kaisī baat ham ko batāo ho dosto
muddat huī ki ḳhatm huā us galī meñ sab
ab aur kis ke kūche meñ jaao ho dosto