sulaiman ahmad mani

tujhe kya hua hai bata ai dil na sukun hai na qarar hai

sulaiman ahmad mani

Patna, Bihar, India

tujhe kyā huā hai batā ai dil na sukūn hai na qarār hai
kabhī us hasīn kī chaah hai kabhī us nigār se pyaar hai
jo samajh meñ aa.e vo baat kyā ye muāmalāt haiñ ishq ke
ki naqāb ruḳh pe rahe magar hai yaqīn ye vahī yaar hai
ye haiñ apne zehn ke aks sab yahāñ asl kyā hai ḳhayāl kyā
ye ḳhizāñ ke rañg haiñ be-ḳhabar to samajh rahā hai bahār hai
vo bhalā sā naam thā kyā kahūñ mujhe ḳhud bhī yaad nahīñ rahā
mirī zindagī ke qarīb meñ vo jo ek musht-e-ġhubār hai
safar-e-talāsh-e-sukūn meñ baḌhe aur dard ke silsile
mujhe manziloñ kī ḳhabar nahīñ yahāñ sirf dasht haiñ ḳhaar hai
mujhe dard aisā hai chāragar yahī pūchh bas ke kahāñ nahīñ
ye yahāñ vahāñ kā savāl kyā ki jigar meñ mere sharār hai
tū hai ġharq dahr meñ sar talak hai yahīñ ke suud kī fikr bas
tirā zohd kaisā ajiib hai ki faqat sharāb se aar hai
Top Urdushayar.com