vo mizāj dil ke badal ga.e ki vo kārobār nahīñ rahā
mirī jaan tere firāq meñ koī sogvār nahīñ rahā
tirī aarzū kahīñ kho ga.ī mirī justujū-e-fuzūl meñ
mujhe ain vaqt visāl meñ tirā intizār nahīñ rahā
na ḳhirad rahī na junūñ bachā dil-e-pur-ġhurūr ye kyā huā
tujhe apne aap pe ḳhud bhī ab zarā e'tibār nahīñ hai
dam-e-avvalīñ ke vo silsile vo tamām kār-e-jahāñ mire
rahe nā-tamām ki raah meñ dam-e-musta.ār nahīñ rahā
tirī bazm jo ye sajī na.ī yahāñ saarā husn hai ajnabī
koī chashm ab nahīñ surmagīñ koī gul-ezār nahīñ rahā
yahāñ mābadoñ ke hujūm meñ na bachā hai koī bhī mai-kada
kise shahr meñ kaheñ ham-navā koī bāda-ḳhvār nahīñ rahā