ishq ne dā.era banā rakkhā
raqs meñ phir mujhe sadā rakkhā
nīm-ḳhvābīda us kī āñkhoñ pe
hosh vāloñ ne sab luTā rakkhā
ḳhāna-e-dil meñ dhaḌkanoñ ne sadā
vird bas lā ilāha kā rakkhā
maiñ ne pūchhā jo apne baare meñ
us ne phūloñ meñ aa.ina rakkhā
diip rakkhe haiñ chaar samtoñ meñ
pāñchveñ dar pe dil jalā rakkhā
ham ne tā-umr terī rāhoñ meñ
farsh-e-dil aur jaañ bichhā rakkhā
ishq meñ āshnā parastoñ ne
ik sanam ek hī ḳhudā rakkhā
vaqt-e-ruḳhsat thā mujh meñ bain magar
qahqahe ne bharam mirā rakkhā
sañg-bārī meñ vo bhī shāmil thā
taḳht par jis ko thā biThā rakkhā
niilā paḌne lagā badan merā
āstīñ meñ ye tū ne kyā rakkhā
phir thakī haarī ek ḳhvāhish ne
zānū-e-shab pe sar ko jā rakkhā
us pe martī jo na to kyā kartī
jis ne apnā mujhe sadā rakkhā
ham bhī tasvīr se nikal aa.e
us ne bhī bāzūoñ ko vā rakkhā
ruuh kī be-qarārī par tū ne
haath rakkhā ki mo.ajiza rakkhā
kāsa-e-dil meñ ik savālī ne
chuum kar ek naqsh-e-pā rakkhā
mere mālik kī mehrbānī ne
mujh pe tauba kā dar khulā rakkhā
ek sūkhā huā shajar 'jīnā'
ġham ne tere harā-bharā rakkhā