ridā.eñ chaleñ ḳhāk-dānoñ kī jānib
vafā.eñ khule sar dukānoñ kī jānib
tire har sitam par yūñhī be-irāda
nazar uTh ga.ī āsmānoñ kī jānib
ajab hai ye kār-e-suḳhan sher-goī
dhakele hai ratbul-lisānoñ kī jānib
nazar sarsarā.ī badan par yuuñ mere
baḌhe saañp jaise ḳhazānoñ kī jānib
mirā ishq kahtā hai mujh se ki aa jā
tujhe le chalūñ maiñ uḌānoñ kī jānib
abhī tifl-e-maktab huuñ aur nā-ahl bhī
kidhar le chale imtihānoñ kī jānib
shab-e-tār kachchā ghaḌā ek dariyā
maiñ baḌhne lagī dāstānoñ kī jānib
to malbe se mere hī ta.amīr hogā
girā ke mujhe baḌh makānoñ kī jānib
merī raah chunñā ki ab maiñ ravāñ huuñ
vafāoñ ke raushan nishānoñ kī jānib
ye nād-e-alī kā ajab mo.ajiza thā
sabhī tiir palTe kamānoñ kī jānib