mire baa'd sāñseñ bhī khoyā karegā
tū bār-e-ġham-e-ishq Dhoyā karegā
mayassar tujhe har ḳhushī hogī lekin
mujhe yaad kar ke tū royā karegā
maiñ sehn-e-gulistāñ meñ jab na milūñgī
tū phūloñ ke dāman bhigoyā karegā
koī chāñd kī pālkī se utar ke
tire shab-kade meñ hī soyā karegā
kisī ne kahā thā ki Dhaltā huā din
udāsī tire dil meñ boyā karegā
ba-zāhir tire saath koī na hogā
koī to magar saath hoyā karegā
har ik chiiz par dastaras hogī terī
magar chain se tū na soyā karegā
kabhī chāñd utregā jab pāniyoñ meñ
badan ke sabhī daaġh dhoyā karegā
mire haath par haath rakkhā hai us ne
bichhaḌne kī bāteñ bhī goyā karegā
samundar kī tujh ko duā hai ki ab tū
kināre pe kashtī Duboyā karegā
na dushvār ho us kā 'jīnā' ḳhudāyā
vagarna ye dil merā royā karegā