ye ishq agar aisā pur-asrār na hotā
mansūr kabhī koī sar-e-dār na hotā
zanjīr-zanī hotī na har saañs meñ merī
dil dard kā aise jo alam-dār na hotā
phir chāñd nahīñ kartā kabhī ashk-fishānī
gar TuuTe sitāroñ kā azādār na hotā
kuchh rishtoñ ko maiñ saath kabhī rakh nahīñ paatī
mujh meñ jo agar koī adākār na hotā
is dil meñ tirā aks farozāñ nahīñ rahtā
gar shīsha mire dil kā chamakdār na hotā
maiñ ḳhud ko ka.ī baar banā letī abhī tak
gar lams mujhe terā ye darkār na hotā
gar us pe tirā bhed khulā hotā ai saaqī
phir shaiḳh ko mai-ḳhāne se inkār na hotā
phir ḳhaak maza detā barastā huā sāvan
is rut meñ agar hijr kā āzār na hotā
sad-shukr ki aiboñ pe mire parda paḌā hai
kyā hotā agar merā vo sattār na hotā
har chand ki patthar huuñ magar TuuT rahī huuñ
ai kaash tū patthar kā talabgār na hotā