tujh se mansūb rahūñ terī kahī jā.ūñ piyā
tirī nisbat se likhī aur paḌhī jā.ūñ piyā
jhūmtī phirtī havāoñ kī tarah se maiñ bhī
chuum kar lams tirā mast huī jā.ūñ piyā
tire ehsās se lipTī rahūñ ḳhushbū kī tarah
raat kī raanī banūñ aur khulī jā.ūñ piyā
tirī aahaT kā samā.at meñ koī dar jo khule
maiñ usī dar meñ diyā ban ke jalī jā.ūñ piyā
Daal duuñ āb-e-sitamgar meñ kahīñ kachchā ghaḌā
dar-e-kisrā meñ kahīñ zinda chunī jā.ūñ piyā
raat ke pichhle pahar vajd ke aalam meñ kahīñ
maiñ tirī ruuh meñ tahlīl huī jā.ūñ piyā
phir tire ishq meñ ḳhushbū kā badan pahne hue
tirī chaukhaT pe agar ban ke jalī jā.ūñ piyā
jab kahīñ koī faqīroñ meñ kare zikr mirā
maiñ tire dar ke faqīroñ meñ ginī jā.ūñ piyā
mire hujre meñ tirī chaap ke jab phuul khileñ
aap hī aap charāġhoñ meñ Dhalī jā.ūñ piyā
ho agar dafn mire saath tirā naqsh-e-qadam
raqs kartī sū-e-maqtal ba-ḳhushī jā.ūñ piyā
ban ke dargāhoñ pe maiñ hijr ke māroñ kī duā
dard ke champa.ī dhāgoñ meñ bañdhī jā.ūñ piyā
jab tire naqsh-e-qadam par maiñ jhukī jā.ūñ piyā
āsmānoñ meñ uḌuuñ uḌtī chalī jā.ūñ piyā
dekh le is meñ sarāsar tirī badnāmī hai
ki tire dar se uThūñ aur tahī jā.ūñ piyā