har choT par zamāne kī ham muskurā.e haiñ
lekin tire ḳhayāl meñ aañsū bahā.e haiñ
had ko pahuñch ga.ī hai mirī nā-mardiyāñ
manzil ke paas aa ke qadam Dagmagā.e haiñ
ai zulf-e-kā.enāt tujhe kyā ḳhabar ki ham
kin pech o ḳham se chhuT ke tire paas aa.e haiñ
ai jān-e-kā.enāt tire intizār meñ
ham ne ka.ī charāġh jalā.e bujhā.e haiñ
jo chal paḌe the azm-e-safar le ke thak ga.e
jo laḌkhaḌā rahe the vo manzil pe aa.e haiñ
'hairat' nizām-e-kohna kī tārīkiyoñ meñ bhī
ham ne nizām-e-tāza ke dīpak jalā.e haiñ