manziloñ kā maiñ patā bhī dūñgā
ḳhud ko raste se haTā bhī dūñgā
itnā ehsān-farāmosh nahīñ
bevafā.ī kā sila bhī dūñgā
apnī hasrat to vo puurī kar le
dushman-e-jāñ ko duā bhī dūñgā
pahle darvāze pe dastak de luuñ
phir ye dīvār girā bhī dūñgā
zindagī jurm to aa.ed kar de
be-gunāhī ko sazā bhī dūñgā
qatl bhī maiñ hī karūñgā ḳhud ko
aur phir ḳhūn-bahā bhī dūñgā
aag bhaḌkegī 'tabassum' apnī
ya.anī sho.aloñ ko havā bhī dūñgā