hosh-o-havās jab se hamāre chale ga.e
jo yār-e-ġham-gusār the saare chale ga.e
ai chārāgar vo dekh tire dar se nā-murād
bīmār-e-ishq yaas ke maare chale ga.e
ehsān nāḳhudā kā uThānā thā nāgavār
us paar ham ḳhudā ke sahāre chale ga.e
is be-ḳhudī kī ḳhair tirī justujū meñ ham
apnā hī naam aap pukāre chale ga.e
dil meñ liye shikāyat-e-be-mehrī-e-jahāñ
jaur-o-jafā ke dard ke maare chale ga.e
hosh-o-havās tāb-o-tavāñ zauq-e-bandagī
ham se ye zindagī ke sahāre chale ga.e
duniyā se jab ravāna hue ham gunāhgār
sar muñh chhupā.e sharm ke maare chale ga.e
'āzam' palaT ke aa.eñ vo mumkin kahāñ bhalā
āsūdgī meñ din jo guzāre chale ga.e