Azam Jalalabadi

raat-din josh-e-junun se kaam hona chahiye

Azam Jalalabadi

rāt-din josh-e-junūñ se kaam honā chāhiye
ishq kī duniyā meñ apnā naam honā chāhiye
miT na jaa.e is jahāñ se ishq kā nām-o-nishāñ
kuchh to pās-e-hasrat-e-nākām honā chāhiye
gul-ruḳhoñ kī baat chhoḌo vo ḳhizāñ-dīda haiñ phuul
fasl-e-gul kā zikr sub.h-o-shām honā chāhiye
zindagī miTtī hai miT jaa.e adā-e-farz meñ
farz kī takmīl par anjām honā chāhiye
chal diye sab dost aur ahbāb tanhā chhoḌ kar
ab to majbūran ġharīq-e-jām honā chāhiye
chārāgar se ho nahīñ saktā ġharībī kā ilaaj
ab ġharīboñ hī kā qatl-e-ām honā chāhiye
ye bhī hai koī hukūmat jis kī lāThī us kī bhaiñs
jānte ho is kā jo anjām honā chāhiye
azm-o-himmat ho to ban jaatā hai 'āzam' har koī
shart ye hai aadmī ḳhush-kām honā chāhiye
Top Urdushayar.com