shabāb aayā taḌapne aur taḌpāne kā vaqt aayā
agar sach pūchhiye be-maut mar jaane kā vaqt aayā
abhī jī bhar ke pī lo phir na jaane kis pe kyā guzre
qarīb ab shaiḳh-jī ke va.az farmāne kā vaqt aayā
unheñ pās-e-hayā Thahrā to apne paañv larzāñ haiñ
hamārī jur.atoñ kā un ke sharmāne kā vaqt aayā
ghaTā chhā.ī barasne ko haiñ būñdeñ abr-e-nīsāñ se
nahīñ piite jo nādāñ un ko samjhāne kā vaqt aayā
na ho jaa.e kahīñ phir aap se tum tum se tū 'āzam'
hudūd-e-aql se bāhar nikal jaane kā vaqt aayā