Azam Jalalabadi

wo husn kya jo kisi dil ka muddaa na hua

Azam Jalalabadi

vo husn kyā jo kisī dil kā mudda.ā na huā
vo ishq kyā jo mohabbat kī intihā na huā
bachegā kyā koī un kī nazar ke tīroñ se
nishāna un kī nazar kā kabhī ḳhatā na huā
koī payām na ham nāma-bar ko de paa.e
salām kahte hī fil-faur vo ravāna huā
hamārā zikr pahuñchte hī un kī mahfil meñ
zamāne bhar kī zabāñ par chaḌhā fasāna huā
ḳhudā ke bande hī bandoñ pe zulm karte haiñ
ḳhudā kā shukr hai banda abhī ḳhudā na huā
tire huzūr pahuñch kar bhī sab rahe mahrūm
kisī ko hausla-e-arz-e-mudda.ā na huā
butoñ kī yaad meñ 'āzam' basar huī apnī
ḳhudā kī yaad kā farz ek din adā na huā
Top Urdushayar.com