un kī nigāh-e-nāz kā mastāna ho gayā
maiñ hosh meñ kuchh aur bhī dīvāna ho gayā
zāhid kā ḳhauf aur na kuchh mohtasib kā Dar
ab to mizāj-e-shaiḳh bhī rindāna ho gayā
marne ke baad khul ga.iiñ saarī haqīqateñ
jo zindagī meñ raaz thā afsāna ho gayā
yādeñ ga.iiñ vo shauq vo armān luT ga.e
ābād thā jo dil kabhī vīrāna ho gayā
majnūñ ke baad pūchhtā thā kaun najd ko
ābād mere dam se ye vīrāna ho gayā
aulād-e-nek-baḳht kī 'āzam' se pūchhiye
jo apne ghar meñ aap hī begāna ho gayā