Azam Jalalabadi

ta-ba-aflak agar apni rasai hoti

Azam Jalalabadi

tā-ba-aflāk agar apnī rasā.ī hotī
kuchh ta.ajjub nahīñ qabze meñ ḳhudā.ī hotī
nāsehā ham ko tabī.at pe jo qaabū hotā
dil sī daulat sar-e-bāzār gañvā.ī hotī
maut ne mujh ko farāmosh kiyā ḳhuub kiyā
aap ne aañkh na ai kaash churā.ī hotī
merī miTTī ko Thikāne jo lagāyā thā tujhe
sū-e-but-ḳhāna ye kam-baḳht uḌaa.ī hotī
sab ko tum sāġhar-e-zarrīñ meñ pilāte ho sharāb
hameñ talchhaT hī shikore meñ pilā.ī hotī
raat din shaiḳh-e-haram kalima butoñ kā paḌhtā
but-kade meñ jo kabhī us kī rasā.ī hotī
bhūlte ham na kabhī bād-e-sabā kā ehsāñ
kākul-e-yār kī ḳhushbū jo suñghā.ī hotī
pūchhtā maiñ bhī mizāj aap kā shoḳhī se yūñhī
choT dil kī jo kahīñ aap ne khaa.ī hotī
thā azal se dil-e-'āzam' meñ koī aur makīñ
us meñ kyā ishq hasīnāñ kī samā.ī hotī
Top Urdushayar.com