Azam Jalalabadi

na hoti bhiD rindon ki to maiKHane kidhar jate

Azam Jalalabadi

na hotī bhiiḌ rindoñ kī to maiḳhāne kidhar jaate
ye mai-noshī kahāñ hotī ye paimāne kidhar jaate
agar insān ban jaate kabhī shaiḳh-o-barahman bhī
to ye ka.aba kahāñ hotā ye but-ḳhāne kidhar jaate
charāġh-e-ḳhāna se vo ban ga.e haiñ sham.a mahfil kī
agar aisā na hotā phir ye parvāne kidhar jaate
hamārī bāda-noshī par huā hairān kyoñ zāhid
na hote piine vaale hī to maiḳhāne kidhar jaate
chaman-zār-e-jahāñ meñ gul hī gul hote agar har sū
to ye kāñTe kahāñ rahte ye vīrāne kidhar jaate
agar siine meñ dil hotā na pahlū meñ jigar hotā
kahāñ paltī mohabbat us ke afsāne kidhar jaate
tirī bātoñ kā ai zāhid agar kuchh bhī asar hotā
namāzī saf-ba-saf hote ye mastāne kidhar jaate
agar vo apne bandoñ par dar-e-rahmat na vā kartā
to ye bande ḳhudā ke phir ḳhudā jaane kidhar jaate
siyah-baḳhtī meñ apne bhī parā.e ho ga.e 'āzam'
agar hotā na ye andher begāne kidhar jaate
Top Urdushayar.com