Azam Jalalabadi

hindu na ban saka main musalman na ban saka

Azam Jalalabadi

hindū na ban sakā maiñ musalmāñ na ban sakā

giitā sunī na hāfiz-e-qurāñ na ban sakā

maiñ dard-e-sar to ban gayā har ek ke liye

lekin kisī ke dard darmāñ na ban sakā

masnad-nashīñ na ban sakā ye aur baat thī

sad haif tere dar bhī darbāñ na ban sakā

ḳhud meñ samā ke ḳhud ko kartā rahā salām

apne sivā kisī sanā-ḳhvāñ na ban sakā

kitne shād-kām bashar se ḳhudā hue

maiñ bad-nasīb aaj tak insāñ na ban sakā

kāñTā to ban gayā maiñ kisī ḳhārzār meñ

lekin kabhī gul-e-chamanistāñ na ban sakā

sher-o-suḳhan meñ yuuñ to guzārī tamām umr

is par bhī 'āzam' ek suḳhan-dāñ na ban sakā

Top Urdushayar.com