Mohammad Abid Ali Abid

hail hai hijab-e-sharm-o-haya didar to kya guftar to kya

Mohammad Abid Ali Abid

1946
haa.il hai hijāb-e-sharm-o-hayā dīdār to kyā guftār to kyā
mub.ham haiñ ishāre sab us ke inkār to kyā iqrār to kyā
altāf-o-karam kī bārish bhī jo mujh pe kare sansār to kyā
jab us ne na pūchhā haal mirā daryāft kareñ aġhyār to kyā
hai dar-ba-darī qismat merī shorīda-sarī tū hī le chal
taskīn-e-dil-e-mahzūñ ke liye gulzār to kyā kohsār to kyā
haiñ azm-e-musāfir ke aage ḳhatrāt masāfat hech bahut
manzil kī talab hai dil meñ agar ho rāhguzar dushvār to kyā
tañg aa ke mohabbat tark na kī ham garche rahe nākām sadā
sarshār the lazzāt-e-hasrat-o-ġham se hote bhalā bezār to kyā
Top Urdushayar.com