Mohammad Abid Ali Abid

sardi-o-garmi-o-barsat mein aa jata hai

Mohammad Abid Ali Abid

1946
sardī-o-garmī-o-barsāt meñ aa jaatā hai
mujh se milne vo mazāfāt meñ aa jaatā hai
fasl-e-gul aane pe ho jaatī hai vīrānī duur
dil ḳharābe se ḳharābāt meñ aa jaatā hai
kabhī dānista adā ho kabhī nā-dānista
naam terā mirī har baat meñ aa jaatā hai
jism kī nashv-o-numā sūrat-e-ashiyā-e-zamīñ
rū-e-ḳhūbāñ falakiyyāt meñ aa jaatā hai
ishq kā sabr-o-tahammul hī se qaa.em hai vaqār
naala fariyād ḳhurāfāt meñ aa jaatā hai
ḳhidmat-e-ḳhalq se hotī hai ḳhudā kī ḳhidmat
ishq maḳhlūq-e-ibādāt meñ aa jaatā hai
banda ho jaatā hai jab ḳhūgar-e-mushkil 'ābid'
zā.iqa talḳhī-e-hālāt meñ aa jaatā hai
Top Urdushayar.com