Mohammad Abid Ali Abid

mera rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda raha

Mohammad Abid Ali Abid

1946
mirā rafīq pas-e-jism-o-jāñ zinda rahā
yaqīn murda huā par gumān zinda rahā
jahāñ vo rahtā thā ab us kī yaad rahtī hai
makīñ baġhair bhī goyā makān zinda rahā
bas us ke hone kā ehsās hai ġharaz ki ḳhudā
vajūd vāhime ke darmiyān zinda rahā
suḳhan se fā.eda kuchh ho to koī bole bhī
maiñ jis jagah bhī rahā be-zabān zinda rahā
tamām umr kaTī bebasī ke aalam meñ
yuuñ kahne ke liye būḌhā javān zinda rahā
vo jab talak rahā māhaul ḳhush-gavār rahā
vo bazm meñ sifat-e-za.afrān zinda rahā
Top Urdushayar.com