patthar ho ki faulād ho Darne kā nahīñ maiñ
ab sūrat-e-ā.īna bikharne kā nahīñ maiñ
jo zaat kā merī hai ḳhalā chiiz digar hai
jo bhar bhī ga.e zaḳhm to bharne kā nahīñ maiñ
dekheñ na nazar bhar ke mujhe der talak aap
jo chaḌh gayā nazroñ meñ utarne kā nahīñ maiñ
kī bāda-kashī tark-e-ma.ābid ke muqābil
ab is se ziyāda to sudharne kā nahīñ maiñ
dīdār tirā mere liye rāhat-e-jāñ hai
be-dekhe tujhe jaañ se guzarne kā nahīñ maiñ
ab jurm-e-mohabbat kī mile koī bhī pādāsh
taftīsh ke daurān mukarne kā nahīñ maiñ