jānñe ke liye betāb thā aġhyār kā haal
us ne pūchhā na hamāre dil-e-bīmār kā haal
sham.a bhī jalne pe āmāda thī parvāna bhī
ek jaisā hī thā matlūb-o-talabgār kā haal
sogvārī meñ hamārī the barābar ke sharīk
ham se miltā thā hamāre dar-o-dīvār kā haal
sarv-e-timsāl hai qāmat meñ shabāhat meñ gulāb
kyā bayāñ sāmne us ke kareñ gulzār kā haal
us taraf jo bhī gayā lauT ke aayā na kabhī
pūchhiye kis se maqām-e-rasam-o-dār kā haal
sab ne dil thaam liyā dekh ke us ko 'ābid'
ek hī jaisā huā kāfir-o-dīñdā kā haal