Mohammad Abid Ali Abid

kisi goshe mein duniya ke makin hote hue bhi

Mohammad Abid Ali Abid

1946
kisī goshe meñ duniyā ke makīñ hote hue bhī
vo mere saath rahtā hai nahīñ hote hue bhī
musalsal āzmā.ish meñ mujhe zālim ne rakkhā
kiyā maiñ ne nahīñ sajda jabīñ hote hue bhī
musalsal mārte rahte haiñ shab-ḳhūñ zehn-o-dil par
azīzāñ raftagāñ zer-e-zamīñ hote hue bhī
guzārī ham ne saarī zindagī ishq-e-butāñ meñ
mukammal us kī vahdat par yaqīñ hote hue bhī
liye phirtā hai qātil haath meñ ḳhanjar barahna
muhayyā pairahan meñ āstīñ hote hue bhī
maiñ zarra ḳhaak kā huuñ vo sitāra āsmāñ kā
vo mujh se duur hai mere qarīñ hote hue bhī
na-jāne kaun sī miTTī kā 'ābid' bhī banā hai
hamesha ḳhush nazar aayā hazīñ hote hue bhī
Top Urdushayar.com