subūt apnī mohabbat kā use denā zarūrī thā
uḌānā ḳhaak karnā chaak dāman kā shu.ūrī thā
sharār-e-sañg se hasb-e-zarūrat aag raushan kī
ye ḳhākī apnī fitrat meñ na naarī thāna nuurī thā
kanār-e-rāh jo ashjār the saa.e kī ḳhātir the
batānā kaam sañg-e-mīl kā manzil se duurī thā
sitam Dhānā mukarnā aur mujhe ḳhāmosh kar denā
mohabbat meñ ravayya us kā chorī sīna-zorī thā
ḳhudā-hāfiz ki aane ko hai apnī manzil-e-maqsūd
qayām apnā jahāñ meñ mustaqil kab thā ubūrī thā