kohsār ke dāman meñ havā tez bahut hai
par ye ki mirā dost kam-āmez bahut hai
itnā na hue hote ham afsurda vatan meñ
hijrat meñ tirī yaad ġham-añgez bahut hai
husn aatā hai ashyā meñ mauqa se mahal se
har mār-e-siyah-zulf dil-āvez bahut hai
barsāt ke mausam meñ kare naala na koī
bārish se yahāñ sail-e-ravāñ tez bahut hai
jo nuur hai chehre pe ibādat ke evaz hai
'ābid' kā to in ashyā se parhez bahut hai