Mohammad Abid Ali Abid

na karwan ka hamare koi nishan raha

Mohammad Abid Ali Abid

1946
na kārvāñ kā hamāre koī nishān rahā
na ham-safar na hī kashtī na bādbān rahā
zamīn apnī taraf khīñchtī rahī mujh ko
savār sar pe sadā mere āsmān rahā
mujhe ḳhabar thī gayā thā tū ġhair se milne
maiñ jān-būjh ke mahfil meñ be-zabān rahā
tamām umr musallat rahā vo dil pe mire
tamām umr maiñ zālim kā mezbān rahā
huā na qaid-e-zamān-o-makāñ se maiñ āzād
zamīñ se duur magar zer-e-āsmān rahā
sharīk vo bhī thā mere ḳhilāf sāzish meñ
ki jis ke saath sadā merā khān-pān rahā
na dil meñ jaltī huī aag bujh sakī 'ābid'
na sar pe mere kabhī koī sā.ebān rahā
Top Urdushayar.com