Ateeq Asar

harf larzan hain ki honTon pe wo aaen kaise?

Ateeq Asar

Basti, Uttar pradesh, India

1952
harf larzāñ haiñ ki hoñToñ pe vo aa.eñ kaise?
raah meñ aahoñ ke sho.ale haiñ bujhā.eñ kaise?
vaz.a-dārī ke vo pahre haiñ ki ai jazba-e-dil
sañg aur aa.ina ik saath uThā.eñ kaise?
vo manāzir jo tabī.at ko javāñ rakhte haiñ
ai ḳhizāñ ab tire hāthoñ se bachā.eñ kaise?
ḳhushk āñkhoñ meñ utarne se bhalā kyā hogā
dil hai sad-pāra bhalā is meñ biThā.eñ kaise?
Dar hai dāman na sulag jaa.e Tapak jaa.e agar
ashk āñkhoñ meñ taḌapte haiñ bahā.eñ kaise?
ai 'atīq' aap kī ye kam-nazarī hai varna
is qadar jalve haiñ āñkhoñ meñ sajā.eñ kaise?
Top Urdushayar.com