Ateeq Asar

ghaTa zulfon ki jab se aur kali hoti jati hai

Ateeq Asar

Basti, Uttar pradesh, India

1952
ghaTā zulfoñ kī jab se aur kaalī hotī jaatī hai
ruḳh-e-raushan kī tābānī misālī hotī jaatī hai
mire baḳht-e-siyah ke hāshiye par raushnī sī hai
mirī tārīk shab kuchh phir ujālī hotī jaatī hai
uThe jaate haiñ dīda-var sabhī āhista āhista
ye duniyā mo'tabar logoñ se ḳhālī hotī jaatī hai
vo merī anjuman par rañg barsāte haiñ kuchh aisā
ki har goshe kī ik ik shai nirālī hotī jaatī hai
vo jinsiyyat-zada māhaul meñ kyā aur pā.egā
jahāñ pākīzgī ik shai ḳhayālī hotī jaatī hai
'atīq' us dilrubā kī har adā bar-haq sahī lekin
tumhārī koshish-e-paiham bhī aalī hotī jaatī hai
Top Urdushayar.com