Ateeq Asar

shikayat hai bahut lekin gila achchha nahin lagta

Ateeq Asar

Basti, Uttar pradesh, India

1952
shikāyat hai bahut lekin gilā achchhā nahīñ lagtā
diloñ kī baat hai kam hausla achchhā nahīñ lagtā
namī ā.ankhoñ meñ soz-e-dil kā unvān-e-takallum hai
magar ḳhāmosh ashkoñ kā sila achchhā nahīñ lagtā
idhar aanā na jaanā hī adhar gum-karda raahī hai
tazabzub kā mujhe ye marhala achchhā nahīñ lagtā
masarrat aur ġham donoñ kī koī had zarūrī hai
kisī bhī ek shai kā silsila achchhā nahīñ lagtā
burā lagtā hai ham ko ik tanāsub kā bigaḌ jaanā
kuchh aise log haiñ jin ko bhulā achchhā nahīñ lagtā
'atīq' aisā bhī jiinā koī jiinā hai bhalā āḳhir
na hove jis meñ josh-o-valvala achchhā nahīñ lagtā
Top Urdushayar.com